Mustafa jaan-e-rehmat peh laakho salam....
Mustafa jaan-e-rehmat peh laakho salam
Sham-e-bazme hidayat peh laakho salam
Jis suhaani ghari chamka Tayba ka chand
Us dil afrawze saat peh lakho salam
Jis ke mathe shafat ka sihra raha
Us jabaane saadat peh laakho salam
Aik mera he rehmat pe dawa nahi
Shaha ke sare ummat peh laakho salam
Jis kay aane say yasrab Madinah bana
Aysa aaqa ke amad peh laakho salam
Kul jahan milq aur jaw ki roti ghiza
Us shikam kii qana'at pe laakhon salam
Ummati ummati lab peh jari rahe
Ummati tere kismat peh laakho salam
Mujh se khidmat ke kudsi kahe ha Raza
Lakho Darood aur Lakho Salaam
Shaan-e-Khuda ke Aap hai mazher, Lakho Darood aur Lakho Salaam
Rehmate Alam apne Payamber, Lakho Darood aur Lakho Salaam
Apka Rutbah Aap ki Azmat, hum sab ko Qura'an ne bataya
Jab hi to bheja Khaliq-e-Akber, Lakho Darood aur Lakho Salaam
Salle Ala ki dhoom machi hai, Noor-e-Khuda ki Dhoom machi hai
Haq ne banaya Aap ko Athar, Lakho Darood aur Lakho Salaam
Arshi udhar se farshi idhar se, ai Jaane Alam ai Maahe Alam
Masroor hai sab Mehfil me padhkar, Lakho Darood aur Lakho Salaam
Saray hashr asiyaun ne pukara, gunahgaar khatiyaun ne pukara
Aao Aao Shafa-e-Mehshar, Lakho Darood aur Lakho Salaam
Taj-e-Shafa'at Aap ke sar hai, baab-e-Risalat Aap ka dar hai
Koee nahi hai Aap se badhkar, Lakho Darood aur Lakho Salaam
Iska parakhna khail nahi hai, yeh to Ata-e-Ghaib mili hai
Saif Nabi ka kuan hai humsar, Lakho Darood aur Lakho Salaam
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika
Rehmatoon kay taj walay,
do jahan kay raj walay,
aarsh ki mairaj walay,
aasiyoon ki laj walay.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.
Mustafa khir ul wara ho,
sarware har do sara ho,
apnay achoon ka tasaduk,
hum badoon ko bhi niba ho.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.
Ho mubarak ahle imaan,
ho gayi subhay baharaan,
ho gaya har ghar charaghan,
Swalawatullah alaika.
Amina Bibi ka jaya,
baharwi tareekh aaya,
subhe saadiq nay sunaya,
Swalawatullah alaika.
As-tufailay Ghouse Azam,
Ganj Bakhsay faizay azam,
sadqaye Imam e Azam,
door houn sabh hi kay ranj o gham.
Ya Nabi salaam alaika
Ya Rasool salaam alaika
Ya Habib salaam alaika
Swalawatullah alaika.
Khatilay khanjarai joroo jafa salamun alai
Shaidai maslakai rahai wafa salamu alai
Shaidai maslakai rahai wafa salamu alai
Sawarai doosha hai rozai jaza salamun alai
Shaidai maslakai rahai wafa salamu alai
Wo raaz dari khuda mustufa salamu alai
Shaidai maslakai rahai wafa salamu alai
Fakhat dikhaiyai thi rahi raza salamun alai
Shaidai maslakai rahai wafa salamu alai
Nida yai ayee kai aab paas Aa salamun alai
Shaidai maslakai rahai wafa salamu alai
Tera ghulam hai tuj par fida slamaun alai
Shaidai maslakai rahai wafa salamu alai