Namaaz Aur Dua

Namaaz
--------------
Namaaz ruhaani taraqiyaat ka zariya hai. Kalaam-e-ilaahi hai,
“Aqeemas salaata li zikri “ yaane meri yaad ko taaza rakhne ke liye Namaaz qaayem Karen.
Her qaum may koi na koi tareeq khudataala ki ibadat ka mukharar hai magar zaruri nahi ke us tareeq may koi maquliyat aur hikmat bhi ho, laikin islaami tareeq-e-ibadat yaane Namaaz ke tamaam afaal-o-herkaath ba-gharz, bafayeda aur baweqaar hain. Aur isme padhe jaane waale tamaam aqwaal baamaane aur puraz muaref hain. Is taraha Namaz may vo tareeq-o-tazeem ekhtiyaar kiye gaye hain jo mokhtalif aqwaam may izhaar-e-adab ke liye istemaal hote hain. Eraani qaum may haath chod kar seedha khada hojana izhaar=-e-adab ki alamat tha, yahud aur baaz dusri aqwaam may jhukna izhaar-e-aqeedat ki alamat tha. Aur Hindustan aur Afreqa may sajde ke taur per gir jaana izhaar-e-adab ka tareqa samjha gaya. Europian aqwaam may ghuntne ke ba baith jaana izhaar-e-adab ka tareeqa samjha gaya.
Gharz her qaum may izhaar-e-aqedat ki koi na koi alaamat mehsus-o-mashud hai.Namaaz may in tamaam Aadab ko jamaa kar diya gaya hai. Is ka ek fayeda ye hai ke jub kisi mazhab ka koi shaks Musalmaan hoga aur Namaaz may apne qaumi ashaar dekhega aur isme izhaar-e-adab ke liye apna makhsus-o-Maanus tareeq ekhtiyaar karega tou usey kamaal luzzat mehsus hogi. Gharz job hi qaum islaam may daakhil hoti hai vo Namaz may apne haan ke manus tareeq-e-adab-o-taazeem ko dekh kar apni rooh isme badaraja-e-awla paati hai.
Dekho ye kitni badi khoobi hai jo islaam may paai jaati hai. Baaqi qaumon ki ibadaton may ye cheez itne lateef tareeq per nazar nahi aati aur ye is wajah se hai ke islaam ek Aalamgir Deen hai aur saari duniya ne isme shamil hona hai.
Namaz ki ferziyet is wajah se nahi ke Allah Taala ko iski zarurat aur ehtiyaaj hai, bulke bandon ke fayed eke liye hi ferz ki gaii hai.

Dua
---------
Namaz ke zariye islaam ne Dua ka raasta khola hai. Dua Namaz ka aham hissa hai, kyonke Dua hi ke zariye duniya ki kul hikmaten zaahir hoti hain..Dua dar haqeeqat talaash-e-tadabeer ka naam hai.
Dua aur tadbeer insaani tabiyet ke do tibbi taqaze hain.insaani tabaa kisi musibat ke waqt jis tarha tadabeer aur ilaaj ki taraf masghul hoti hain,usi tarha tibii josh se dua,sadqa aur khairaath ki taraf jhuk jaati hain. Dua se asal matlab tadbeer ka paajaana, itminan aur haqeeqi khush-haali ka haasil karna hai. Aur jo shaks rooh ki sachai se Dua karta hai mumkin nahi ke haqeeqi taur per namurad rah sake. Albata Allahtaala jaanta hai k eek dua karne waale shaks ki haqeeqi khush-haali kis amar may hai. Ye chez Allahtaala ke haath may hai, jis pairaaye may chahe inayet fermaye.
Agar hum khatakar bache ki tarha jo apni Maa se saanp ya aag ka tukda maangta hai, apni dua aur talab may ghalathi per hon tou khudataala vo cheez jo hamare liye behter ho atta karta hai.aur agar hum apne maqsad ki talab may ghalathi per nah on tou wahi maqsad bar aata hai. Aur donon suraton may hamare imaan ko bhi vo taraqi deta hai.jub khudatala ka irada kisi baat ke karne ka hota hai tou sunnat-e-Allah ye haike uska koi mukhlis banda iztarab aur karb aur qalq ke saath dua karne may masghul hojata hai aur apni tamamtar tawajah us amar ke hojane ke liye karta hai. Tab us mard-e-faani ki duayen faiz-e-ilaahi ko aasmaan se khenchti hain aur khudataala aise naye asbaab paida kardeta hai jin se kaam ban jaata hai.aisi dua karne waalon ke liye aasmaan zameen ke nazdeek aajaata hai aur dua qabul hokar mushkil-kushai ke liye naye asbaab paida kiye jaate hain.aur inka ilm pesh-az-waqt diya jaata hai aur kam-az-kum ye ke mekh-e-aahni ki tarha maqbuliyet-e-dua ka yaqeen ghaib se dil may baith jaata hai.
Sach ye hai ke agar dua na hoti tou koi insaan khuda-shanasi ke baare may haqul-yaqeen tak na pahunch sakta. Her ek yaqeen ka bhuka aur pyaasa yaad rakhe ke is zindgi may roohaani roshni ke talib ke liye sirf dua hi ek zariya hai jo khudataala ki hasti ka yaqen bakhshta hai.her ek dua agarcha vo hamari duniavi mushkil-kushai ke liye ho, magar vo hamari imaani haalath aur irfani tarbiyet per guzar kar aati hai.yaane awal humen imaan aur irfaan may taraqi bakhashti hai aur itminaan atta karti hai. Namaaz may zikr-o-dua ki hidayet ferma kar Allahtaala ne siffat-e-ilaahiya per ghaur karne ka raasta khol diya hai.
Haqeeqi Namaaz wahi hai jis ke asraath-o-barkaath Namaaz padhne waala khud mushahida kare aur apni zaat may ek paak tabdili mehsus kare. Namaaz badiyon aur na-pasandeeda baton se rokti hai.buraion se bachne ka qila hai Namaz,khahishath-e-nafsaaniya ki muhafiz,dil ki ghaflath aur shukhi-e-nafs-e-ammara ka umda aur kargar ilaaj hai.tazkiya nafs aur islaah ahwaal ka maujab hai.Namaaz waqt ki qadr-e-qeemat ka shaoor paida karti hai. Namaz se baqayedgi aur mustadi paida hoti hai.aur insaan ki adath-o-khasayel aur uske duniyawi kaam kaaj may ek khaas khisam ka nazm aur etdaal paida hota hai. Sabr-o-isteqamat, azm-o-isteqlal aur masayeb-o-mushkilaath ke hal ki taufiq milti hai.Namaaz se inkisari-o-khaksaari, tawaza-o-burdbaari,khushu tabiyetaur huzur-e-nafs ki niyamat atta hoti hai.namaaz se baahmi tawan, ijtemaii aur qaumi zaruraton ka ehsaas taraqi karta hai.namaz se masawaat paida hoti hai.aur baahmi humderdi ka jazba badhta hai.

No comments: