ISLAM KA EK KHAS RUKN (HAJJ-E-BAYTULLAH)


Islam mai 5-araqan mai se ek rukn haj bhi hai. Namaz roze ki taraha ye bhi farz hai lekin sab par nahi shirf unhi mardu aur aurto par jinhe allah ne maal aur dawlat se navaza. Ayese logo ko zindagi mai ek baar haj karna farz hai. Agar allah ne aapko dawlat ata ki hai, aap tandrusht hai to apn aya farz jald ada karle kyonki jitni hi deer karege utne hi gunahagaar hoge.

Haj bhi ek ibadad hai. Ibadat mai khulush aur lagan jarori hai. Dikhawe ki ibadat kisi kaam ki nahi. Qaba sharif ka tawaf, safa-marwa ki sai, haram sharif main namaze padhna, hajr-e-aswad ko bosa dena, Arafat ke mayedan ki ibadate, meena ke mayedan mai qurbani , muzdlefa mai kayam, madina sharif ki hazri wagayera jayesi ibadate waha jaye bina nahi ho shakti. Ibadato ki barkat se haji gunaho se paak ho jata hai. Hadith sharif mai hai- jo adimi is sawdhani ke sath haj kare ki koi galat, behuda kaam, ladayi-jhagda na kare to allah paak use gunaho ayesa paak kar deta hai ki jayese waha payedayish ke waqt thha.

Qaba sharif mai ebadat sa sawab ek lakh guna jayeda milta hai. Haj ke is Mubarak safarr ke dawran hi madin sharif pahuch kar darbare rasul mai salam pesh karne ki sa-adat nashib hoti hai. Haj ke is Mubarak safar mai madina sharif ki hazri bahut jarori hai. Hamre rahemat wale aka farmate hai- jo haj ke liye aya aur meri mulakat ko na aya, usne mujhe par zulm kiya. Jara sochey- koun apne pyare rasul ko taklif pahuchane ki bhul kar shakta hai. Jisne rusal ko taklif de usne allah ko taklif de. Allah ko taklif ko taklif dene wale ka kya anjam hoga?? Gawr kare.

Waise to har musalman ko roaz, namaz ka paband hona jarori hai lekin haji ke liye behat jarori hai kyon ki unka martaba kawm mai bahut bulan hai aur logo ki nazaro mai kabil-e-ehetaram ho jata hai. Log unki izzat karte hai. Haji agar haj se wapas ane ke baad deen ki pabandi na kare to dusre logo par uska galat asar padta hai. Haj aur deen ki ahemiyat khatm ho jati hai. Log haji ko bura-bhala kahete hai to deen ki tawheen hoti hai.

Aajkal haj par jane wale haji sahebaan aur ghar wale is Mubarak safar ki tayyari ke waqt is safar ki azmat ka dhayen nahi rakhte. Gayer jarori dhum-dham, behuda kharch aur dikhawa par jayeda zoor diya jata hai. Haji shahab ko bhejne aur lane mai hazaro rupaye kharch ho jate hai. Allah paak ko fizul kharchi , dikhawa aur shoharat pasand nahi hai. Lekin afsush ki ham apni pasand ke agee allah aur rasul ki pasand ka kahayal nahi rakhte. Yahi wajah hai ki ham is safar ki ruhani barkato sse mahefuz hi rahe jate hai. Allah apko haj ki tawfik de to fizul kharchi wa dikhawe se bachhey aur haj ki azmat bakarar rakhne ki tawfik ata farmaye. Ameen!!!

No comments: