BISMILLA-HIRRAHMAN-NIRRAHIM
In the Name of Allah, the Most Gracious, the Most Merciful.
Assalato Wasallaamo ‘Alaika Yaa Rasool Allah Sallallaho ‘Alaihi Wasallam
Wa ‘Alaa Aalika Wa As Haabika Yaa Noor Allah Sallallaho ‘Alaihi Wasallam
Iss Shab Ki Fazilat Mein Ahadees Bahot Hai Yaha Kuch Zikr Ki Jaati Hain
Hadees- 1.
Hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alahi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ramzaan Mein 1 Raat Aisi Hai jo Hazaar MAHEENON Se Behtar Hai Jo iski Bhalaiyo Se Mehroom Raha Wo Beshak Mehroom Hai.(Nasai)
Hadees- 2.
Hazrat Anas Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai Kehte Hai Ramzaan Aaya To Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ye Maheena Aaya Iss Mein 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai Jo Isse Mehroom Raha Wo Har Cheez Se Mehroom Raha Aur Uske Khair (Bhalai) Se Wahi Mehroom Hoga Jo Poora Mehroom Hai.(Ibne Majah)
Hadees- 3.
Hazrat Salman Farsi Radiyallah8u T’aala Anhu Se Riwayat Hai Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya- Aye Logo! Tumhaare Paas Azmat Wala Barkat Wala Maheena Aaya Wo Maheena Jisme 1 Raat Hazaar Maheenon Se Behtar Hai.(Baihaqi)
Hadees- 4.
Hazrat Abu Hurairah Raduyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jo Imaan Ki Wajah Se Aur Sawaab Ke Liye Shabe Qadr Mein Ibaadat Karega Uske Agle Gunaah Bakhsh Diye Jaayenge.(Bukhari,Muslim)
Lijhaza Iss Raat Mein Zyaada Se Zyaada Ibaadat Karni Chaahiye, Ye Raat Bahut Buzurgi Aur Fazeelat Wali Hai Iska Har Har Lamha Ibaadat Mein Guzaarna Chaahiye, Iss Raat ko Idhar Udhar Ghoom Kar Behuda Baaton Mein Guzaar Dena Sakht Mehroomi Hai.Baaz Log Aisi Raaton Mein Raat Ke Aakhir Hisse Tak Jaagte Hain Phir So Jaate Hain Aur Din Mein Uthte Hai.Iss Tarah unki Fajr Ki Namaaz Qaza Ho Jo Jaati Hai Jo K Jaayez Nahin Jin Logo Ko Fajr Mein Bedaar Hone Ka Yaqeen Na Ho unko Aise Waqt Mein Sona Hi Mana Hai Aise Logo Ko Chaahiye K Isha Ki Namaaz Jama’at Se Padhkar So Jaaye Aur Fajr Ki Namaaz Jama’at Se Padhe K Hadees Sharif Mein Hai k Huzoore Akram SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ba Jama’at Isha Ki Namaaz Padhi Goya Aadhi Raat Qayaam Kiya(Ibaadat Kiya) Aur Jisne Fajr Ki Namaaz Jama’at Se Padhi Goya Poori raat Qayaam(Ibaadat) Kiya (Muslim Sh)iss Tarah Unko Raatbhar Ibaadat Karne ka Sawaab Mil Jaayega Aur Fajr Ki Namaaz Qaza Na Hogi. iss Raat Mein Qasrat Se Nawafil Padhe Aur Agar Zindagi Qaza Namaaze Ho To Behtar Ye Hai K Nawafil Ki Jagah Qaza Namaaze Padhe Aur Taakhir Se Adaa Karne K Apne Rab Se Maafi Maange.Aala Hazrat Azimul Barkat Imam Ahmed Raza Fazile Bareilvi Radiyallahu T’aala Anhu Irshaad Farmate Hain Qaza Har Roz Ki Namaaz Faqat 20 Rakaton Ki Hoti Hai 2 Fajr ki, 4 Zohar Ki, 4 Asr Ki, 3 Magrib , 4 Isha, 3 Vitr. Agar Waqte Buloog Na Maloom Ho To Iske Liye Mard 12 Baras Aur Aurat 9 Baras Ki Umr Se Namaaz Ka Aisa Hisaab Lagaaye k TakhMeena Mein Baaqi Na Reh Jaaye.Zyaada Ho Jaaye To Harj Nahin Aur Wo Sab Baqadre Taaqat Rafta rafta jald Adaa Karein Kaaheeli Na Karein. Jab Tak Farz Zimaa Rehta Hai Koi Nafl Qubool Nahin Kiya Jaata.Niyyat Unn Namaazon Ki Iss Tarah Ho Maslan 100 Baar Ki Fajr Ki Qaza Hai To Har Baar Yu Kahe Ki Sab Se Pehli Jo Fajr Mujhse Qaza Hui Har Dafa Yehi Kahe yaani 1 Adaa Huyi To Baakiyon Mein Jo Sabse Pehli Hai Isi Tarah Zohar Wagairah Har Namaaz Mein Niyyat Karein.Jis par Bahut si Namaaze Qaza Ho Uske Liye Takhfeef Ki Surat Ye Hai k
1) Farz Ki Teesri Chouthi Rakaaton Mein Surah-e-Fateehah Ki Tilaawat ki Jagah 3 Baar Subhanallah Kehkar Rukoo Mein Jaaye.
2)Nez Tasbeehaate Rukoo Aur Sujood Mein Sirf 1 Baar Subhana Rabbiyal Azeem Aur Subhana Rabbiyal A’ala Padhlena kaafi Hai.(Yaad Rahe Ye Tasbeehaat Rukoo Mein Jaane Ke Baad aur Uthne Se Pehle Adaa Karen)
3)Tashahhud Ke Baad Dono Durood Sharif Aur Dua Ke Bajaaye ALLA HUMMA SALE ALAA SAYYEDINA MUHAMADEU WA AALIHI Keh Kar Salaam Pher De.
4) Vittro Mein Bajaaye Qunood Ke 3 Baar Rabbig phirli Kehna Kaafi Hai.Tuloo, GurUb Wa Zawwaal Ke Alaawa Qaza Namaaze Har Waqt Adaa Ki Ja Sakti Hai
(Fatawa e Razviya Jild 3, SAFA No 621-622) ALLAH T’AALA Ham Sab Logo Ko Iss Raat Ke Ehtaram Ki Taufeeq Ataa Farmaaye.)
NOTE- iss kitaabat mein mukhtasar masail zikr kiye gaye hai tafseel ke liye fatawae razwiya aur bahaare shariat ka mutaal’a farmaye.
1 comment:
How To Read Quran - Quran Reading online at home and Read Quran with tajweed.
quran learning online
Post a Comment