Hadees- 2. Hazrate Abdullah Ibne Abbas Radiyallahu T’aala Anhuma Se Riwayat Hai K Huzoor Sallal laahu T’aala Alaihi Wasallam Etakaaf Karne Wale Ke Baare Mein farmaya Woh Gunaahon Se Baaz Rehta Hai Aur Nekiyon Se Use iss Qadar Sawaab Milta Hai Jaise Usne Tamaam Nekiyaan Ki. (Ibne Maajah)
Hadees- 3. Hazrate Husain Radiyalllahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai k Huzoore Aqdas Sallallaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Jisne Ramzaan Mein 10 Dino Ka Etakaaf Kar Liya To Aisa Hai Jaise 2 Haj Aur 2 Umre Kiye.(Baihaqi)
Masla-
Masjid Mein Allah Ke Liye Niyyat Ke Saath Theherna Etakaaf Hai Aur Uske Liye Musalmaan Aaqin(Aql Wala) Hona Aur Janaabat(Napaaki) Aur Haiz Aur Nifaas Se Paak Hona Shart Hai, Baalig Hona Shart Nahin.
Etakaaf Ki 3 Qismein Hai
1) Wajib
2) Sunnate Mu-akkida
3) Mustahab
1) Etakaaf-e-wajib
Ye Mannat Ka Etakaaf Hai Jaise kisi Ne Mannat Maani K Fulah Kaam Ho Jaayega To MAIN 1 Din Ya 2 Din Etakaaf Karuga To Ye Etakaaf Wajib Hai Iska Poora Karna Zaroori Hai. Etakaafe Wajib Ke Liye Rozah Shart Hai Bagair Rozah Ke Saheeh Nahin.
2) Etakaaf-e-Sunnate Mu-akkida
Ye Ramzaan Ke Poore Ashraye Aakhira Yaani Aakhiri 10 Din Mein Kiya Jaaye.
1. 20’svi Ramzaan Ko Suraj Doobte Waqt Etakaaf Ki Niyyat Se Masjid Mein Maujood Ho Aur 30’svi Ko Suraj Doobne Ke Baad Ya 29’svi Ko Chaand Hone Ke Baad Nikle2. Agar 20’svi Taarikh Ko Baad Namaaz-E-Magrib Etakaaf Ki Niyyat Ki To Sunnat-e-Mu-akkida Adaa Na Hogi
3. Ye Etakaaf Sunnat-e-Mu-akkida Kifaya Hai k Agar Sab Chhodh de to Sab Pakre Jaayen Aur Agar 1 Ne Bhi Kar Liya To Sab Choot Jaayen.
4. Iss Etakaaf Mein Bhi Rozah Shart Hai Magar Wahi Ramzaan Ke Roze Kaafi Hai.
3) Etakaaf-e-Mustahab
Etakaafe Wajib Aur Etakaafe Sunnat-e -Mu-akkida Ke Alaawa Jo Etakaaf Kiya Jaaye Wo Mustahab Hai. Etakaafe Mustahab Ke Liye Rozah Shart Nahin, Ye Thodi Der Ka Bhi ho Sakta Hai Masjid Mein Jab Jab Jaaye Iss Etakaaf Ki Niyyat Kar Le Chaahe Thodi Hi Der Masjid Mein Rehkar Chala Aaye Jab Masjid Ke Bahaar Aa Jaayega Etakaaf Khatm Ho Jaayega Aur Uski Niyyat Ye Hai.
Urdu Mein Iss Tarah Kahein Maine- Allah Ke Waaste Etakaaf-e-Mustahab Ki Niyyat Ki.
1. Mard ke Etakaaf ke liye masjid zaroori hai.
3. Aurat apne ghar ki Uss jagah Mein Etakaaf kare jo jagah Usne namaAz ke liye mukarrar kar rakhi ho.
4. Agar aurat ne namaz ke liye koi jagah mukarrar Nahin Kar rakhi hai to ghar Mein etakaaf Nahin kar sakti , albatta agar iss waqt yaani jab ke etakaaf ka irada kiya kisi jagah ko namaaz ke liye khaas karliya to Uss jagah etAkaaf kar sakti hai.
5. Aurat ke liye ye mustahab hai k ghar Mein namaaz padhne ke liye koi jagah mukarrar karle aur Use paak aur saaf rakhe .
6. mutakIf (Etakaaf karne wala) ko masjid se bagair uzr nikalna haram hai agar nikla to Etakaaf toot jaayega, chaahe bhool kar hi nikla ho jab bhi.
7. Aurat agar apne Etakaaf ki jagah se nikli to Etakaaf jaata raha ,chaahe ghar hi Mein rahe.
8. mutakif (Etakaaf karne wala) masjid hi Mein khaaye peeye soye in Umoor ke liye masjid se bahaar hoga to Etakaaf jaata rahega, magar khaane peene Mein yeh Ehtiyaat lazim hai k masjid aaluda na ho.
9. Mutakif ke siwa aur kisi ko masjid Mein khaane peene sone ki ijaazat Nahin aur agar yeh kaam karna chaahe to Etakaaf ki Niyyat karke, masjid Mein jaayen aur namaaz padhen ya zikr-e-ilahi kare phir yeh kaam kar sakta hai.
10. Mutakif na chup rahe na baat kare balki quran-e-majid ki tilawat hadees ki Qeerat aur durood sharif ki kasrat kare, ambiya wa auliya wa saaleheen ke haalaat padhe.
11. Etakaaf jis wajah se bhi toote Qasdan ya bila Qasd beHerhaal qaza wajib hai.
12. sunnat-e-muakkida Etakaaf agar todha to jis din todha faqat Uss ek (1) din ki qaza hai poore das (10) dinon ki qaza wajib Nahin.
13. agar nafl Etakaaf todh De to iski qaza Nahin
No comments:
Post a Comment