Rishtedaaro se achchha bartaw

1. Rishtedaar se achchha bartaw karne se maal aur umar mai barkat hoti hai. Adimi buri maut se bach jata hai, musibat tal jati hai, khushhali ati hai, gunaha maaf hote hai, nekiya qubul hoti hai.

2. Apna nasb-nama yaad rakhkho taki apni khandaan walo ke sath shila-rahemi (achchha bartaw) karne mai asani ho.

3. Jo adimi sadka-khayrat karta hai, rishtedaro se achchha bartaw karta hai allah paak usski umar mai barkat ata farmata hai. Aur uski mushibate dur farmata hai.

4. Bagawat karna aur rishte todna bahut bada gunaha hai. Uski saza duniya mai bhi milti hai aur akhirat mai bhi milti hai.

5. Hazrat ma-aaz bin jabal raziallaho anho ka bayan hai – ek din allah ke rasul ne farmaya – jisne dil se is baat ki gawahi di ki allah ke alawa koi mabud nahi aur mohammed allah ke rasul hai, allah us par duzakh ki aag haram farmadega. Unho ne arz kiya-ya rasul allah! To fir yah khukhkhabri mai logo ko suna du? Aapne farmaya-Maa.aaz! agar tum logo ko yah baat bata doge to wah issi par bharosa kar lege. (aur nek amal karne aur gunha se bachne ki parwa nahi karege)

6. Padoshiyon ke sath shila –rahemi (achchha bartaw) karne se umar mai barkat aur ghar mai khushhali raheti hai.

7. Tumhara jo rishtedaar tum se rishta tode tum use jodne ki koshish karo.

8. Apne maa-baap ko razi rakhkho, allah tum se razi rahega.

9. Maa-baap aur rishtedaar se achchha bartaw karne se gunaha maaf hote hai.

10. Jo adimi apne walid ke intiqaal ke baat bhi use achchha bartaw karna chahata hai to use chahiye ki apne walid ke dosto ke sath achchha bartaw kare.

11. Jo bado ki izzat aur chhoto se pyar na kare wah hamara nahi.

12. Rishtedariyan todne wala jannat main a ja sakega.

No comments: