Hazrat Ayesha Razi Allaho Anha say riwayat hay k Sarkar e Madina Sallallaho Alaihay Wasallam nay CHAAND ki taraf nazar utha kar farmaya key...
AE AYESHA! ALLAH KI PANAH HAY IS K SHAR SAY, YEH ANDHERI DAALNAY WALA HAY JAB DOOBAY YANI AAKHIR MAAH MAIN JAB CHAAND CHUP JAYE TO JADOO K WOH AMAL JO BIMAAR KARNAY K LIYE HAIN USI WAQT KIYE JAATAY HAIN
(Tirmizi Sharif)
Hazrat Ayesha Razi Allaho Anho ko Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam k batanay ka maqsad yeh bhe hay k yeh Jadoo waghaira aur Jinnat k asraat Aurton pay ziada hotay hain
Isi waja say Buzurgan e Deen aur Ulama e Haq yeh farmatay hain k AURTON ko khas tor par RAAT k waqt apnay balon ko khula nahen chorna chahiye aur ITAR/ PERFUME ka istemaal bhe nahen karna chahiye kyun k jo aurtain raat k waqt itar ka istemaal kasrat say karteen hain aur apnay balon ko khula chorteen hain un pay Jinnat k asraat ziada hotay hain. Aur waisay bhe sharayee ahkaam k mutabiq Aurat ko har waqt apnay balon/ sar ko dupattay ya chadar say dhanp kar rakhna chahiye
No comments:
Post a Comment