Kisi naay kaam ko shuru karne se pahele Istekhara Karna chaahiyein

Aauzo Billaahi Minash Shaitaan Nir Rajim
Bismillaah Hir Rehman Nir Rahim ; Allah - Beginning With The Name Of - The Most Gracious, The Most Merciful.
Allah humma salliala sayyidina wamaulana muhammadin adada mafi ilimillahi salatan daaimatam bidawami mulkillah.

Kisi naay kaam ko shuru karne se pahele Istekhara Karna chaahiyein.
Istekhara us amal ko kahetey hai jis k karne se Gaibi taur par ye maloom hojaata hai ki fulah kaam karne me faida hai ya nuksaan.aur agar wo kaam aap k liye acha hai to Istekhara ki barkat se gaib se asbab paida hojaate hai .Aur agar wo kaam aap k liye bahetar nahi toh Qudrati taur par insaan is kaam se ba'az raheta hai.

Istekhara me kisi Nay kaam k shuru karne se pahel Allah (Subhana wa taaala). se Dua karna aur uski raza ma'alum karna Maqsad hota hai.

yeh Huzur (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) ki sunnat aur sahaba e karaam O buzurgaaane deen ka tariqa hai....

Hazrat Jaabir bin Abdullah (Radiallahu Ta’ala Anhu) se Riwayat hai ..

Rasull Allah (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) hamein har kaam me Istekhara karne ki aisi Talqeen farmaate jaise Quraan ki koi Surat Sikhaate.

[Bukhaari Shareef- j.1 ; bab . 738; Hadis. 1088. Pg. 455 .
Tirmizi Shareef- j.1 ; bab . 343 ; Hadis. 463 ; pg. 292 ]

No comments: