Lakho Darood aur Lakho Salaam

Shaan-e-Khuda ke Aap hai mazher, Lakho Darood aur Lakho Salaam

Rehmate Alam apne Payamber, Lakho Darood aur Lakho Salaam


Apka Rutbah Aap ki Azmat, hum sab ko Qura'an ne bataya

Jab hi to bheja Khaliq-e-Akber, Lakho Darood aur Lakho Salaam


Salle Ala ki dhoom machi hai, Noor-e-Khuda ki Dhoom machi hai

Haq ne banaya Aap ko Athar, Lakho Darood aur Lakho Salaam


Arshi udhar se farshi idhar se, ai Jaane Alam ai Maahe Alam

Masroor hai sab Mehfil me padhkar, Lakho Darood aur Lakho Salaam


Saray hashr asiyaun ne pukara, gunahgaar khatiyaun ne pukara

Aao Aao Shafa-e-Mehshar, Lakho Darood aur Lakho Salaam


Taj-e-Shafa'at Aap ke sar hai, baab-e-Risalat Aap ka dar hai

Koee nahi hai Aap se badhkar, Lakho Darood aur Lakho Salaam


Iska parakhna khail nahi hai, yeh to Ata-e-Ghaib mili hai

Saif Nabi ka kuan hai humsar, Lakho Darood aur Lakho Salaam

No comments: