Hadees: 1. Hazrate anas Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat hai k huzoor-e- aqdas sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne farmaya “SEHRI KHAO K SEHRI KHAANE MEIN BARKAT HAI.(bukhari&muslim )
Hadees: 2. Hazrat Abdullah ibne umar Radiyallahu t’aal anhuma se Riwayat hai k huzoore akram sallallaahu T’aala alaihi wasallam Ne farmaya “ALLAH AUR USKE FARISHTE SEHRI KHAANE WAALON PAR DU ROOD BHEJTE HAIN (TIBRANI).
Hadees: 3. Hazrat abu saeed khudri Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat hai k huzoor sallallaahu T’aala alaihi wasallam ne farmaya sehri kul ki kul barkat hai use na chhodhna agarche ek ghoont paani bhi peele kyun ki sehri khaane waalon par allah aur uske farishte durood bhejte hain.(musnad imam ahmed bin hambal)
Hadees- 4.Hazrate Sahal Bin Sa’ad RadiYallahu T’aala anhu Se Riwayat Hai K Huzoor E Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Farmaya HaMesha Log Khair K Sath Raheinge Jab Tak Iftaar Mein Jaldi Karenge(Bukhari, Muslim Sharif)
Hadees- 5. Hazrate Abu Hurairah Radiyallahu T’aala Anhu se Riwayat Hai K Huzoor sallalLaahu T’aala Alaihi wasallam Ne Farmaya K Allah T’aala Ne Farmaya Mere Bandhon Mein Mujhe Zyaada Pyaara Woh Hai Jo Iftaar Mein Jaldi Karta Hai. (Tirmizi)
Hadees- 6. Hazrate Salman Bin Aamir Radiyallahu T’aala Anhu Se Riwayat Hai K Huzoor-E-Aqdas SallalLaahu T’aala Alaihi Wasallam Ne Irshad Farmaya Jab Tumme Se Koi Rozah Iftaar Kare To Khujoor Ya Chhohare Se Iftaar Kare K Woh Barkat Hai Agar Woh Na Mile To Paani Se K Woh Paak Karne Wala Hai. (Abu Dawood, Tirmizi Sharif)
No comments:
Post a Comment