Hadith For Marriage

1. Nabi E Kareem (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) ne Irshaad farmaya..

Aurato se Un k Husn K sabad Shaadi na karo ,

Hosakta hai k unka Husn Tumhe tabaha karde.

Na un k Maal k sabab Shaadi karo ,hosakta hai k

Unka Maal tumhe Gunhaao me mubtila Kardey.

Balki Deen ki wajah se Nikah Kiya karo.

Kaali ,Chaptti , Badsurat Laundi Agar deendar hoto Behtar hai.

[Ibn Maja.j.1;bab no.594,hadis no. 1926,pg.522.
Ahaayul Ulum . j.2; pg no. 70]

2. Huzur E Aqdas (sal-lal-lahu alai hi wa sallam) ne irshaad farmaaya..

" jo koi husn O Jamal ya Maal O Daulat ki khatir kisi Aurat se Nikah karega,

toh... Wo dono se mehroom rahega.

Aur Jub deen k liye Nikah karega,

toh Dono Maqsad pure hongey.."

[Kimiyaa E Sa'adat..pg.260]

No comments: