Hazrath Mohammad Mustafa Sallallaho Alaihay Wasallam ki Qurbani

Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaiahy Wasallam nay apni Qurbani ada karnay k liye Hazrat Ali Razi Allaho Anho say 2 MAINDHAY mangwaye to Hazrat Ali Razi Allaho Anho nay 2 ki waja poochi to Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaiahy Wasallam nay farmaya

AIK MERI TARAF SAY AUR DOOSRA MERI UMMAT KI TARAF SAY HAY

Isi tarah Hazrat Ali Razi Allaho Anho 2 DUMBON ki Qurabni kiya kartay thay 1 apni taraf say aur 1 Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam ki taraf say jab unsay waja poochi gayee to unhon nay farmaya k mujhay aisa karnay ka hukum Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam nay diya hay aur main isay kabhe nahen choronga

Tirmizi Sharif

What v can learn from here is

1) FATWA - Kisi aur ki taraf say bhe Qurabni ada ki jaasakti hay magar uskay liye pehlay apni Qurbani wajib hay phir kisi aur ki taraf say kyun k har sahib e nisab par alag alag Qurabni wajib hay

2) LATEEF NUKTA - Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaihay Wasallam ka apni ummat say piyaar o mohabbat k koyee aisa mauqa nahen jab aap ko apni ummat ka gham na ho hatta k waqt e aakhir bhe lab pay tha - RABB E HABLI UMMATI

3) WHAT TO DO? - Halankay Hazrat Ali Razi Allaho Anho k liye woh aik hukum tha lehaza unka karna maqsood hay magar zar soochain k agar Allah Kareem nay aapko itni istita'at di hay to aap apni Qurbani k ilawa agar aik hissa Huzoor Nabi e Kareem Sallallaho Alaiahy Wasallam ki taraf say aur aik hissa unki tamam ummat ki taraf say kardain to kia he baat hogi - aur agar aik hissa hum Huzoor Sarwar e Kainaat Sallallaho Alaihay Wasallam k naam say bhe Qurbani k liye pesh kardain to aisi Qurbani laazmi Qubooliyat k martabay pay hogi - Insha Allah - Allah Kareem hamain iski taufeeq ata farmaye. Ameen Ya Rabbal Aalameen

No comments: